chhipabarod/baran/rajasthan:- chhipabarod ke ward no 24 mai subah ke time nalo se gatar ka pani aata hai ye problem 2 year se bani hui hai kai bar adhikariyo ko avgat karaya lekin samsya jo ki tyo bani hui hai mere dwara date 21/12/2009 ko ak botal bharkar jalday vibhag ke karmchariyo ko pine ka aagrah kiya to wo uski badbu se hi ghabrane lage isse kai prakar ki bimariya bad rahi hai or sarkar dwara bimariyo ke naam par karch kiye ja rahe rupye pani mai bahte huaye nazar aa rahe hai
|